Friday 30 December 2011

Dil Ki Baazi Main...



Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi


Meri Aankho Ke Sanadar Main...


Meri Aankhon K Samandar Main Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pe Charaghon Ki Roshni Bhi Nahin
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Main Ghhutan Kaisi Hai

Barf K Roop Main Dhal Jaaenge Saare Rishte
Mujh Se Pouchho K Mohobbat Ki Agan Kaisi Hai

Main Tere Wasal Ki Khuwahish Ko Naa Marne Dunga
Mosam_E_Hijr K Lehje Main Thakan Kaisi Hai

Regzaaron Main Jo Bunti Rahi Kaanton Ki Rida
Usski Majboor Si Aankhon Main Kiran Kaisi Hai

Mujhe Maasoom Si Larki Pe Taras Aata Hai
Usse Dekho Tau Mohobbat Main Magan Kaisi Hai

Ek Chota Sa Sapna Tha...


ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junoon tha
us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha
us raaz mein ek khushbo thi
jo meri soch ki justju thi
us justju mein ek hasrat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi
us shahrat mein ek ehsaas tha
jo hamesha mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha

Na Saawal Ban Kar Mila Karo...


Na Sawal Ban Kar Mila Karo
Na Jawab Ban Kar Mila Karo
Meri Zindgi Mere khuwaab Hain
Mujhe khuwab Ban Kar Mila Karo

Mujhe Achhe Log Buhut Mile
Main To Unke Qarz Se Bhar Gaya
Jo Ho Sake To Kabhi kabhi
To Kharab Ban Kar Mila Karo

Abhi Sochna Hai To Soch Lo
Abhi Chhodna Hai To Chhod Do
Naye Mousmo Mein Milo Mujhe
To Gulab Ban Kar Mila Karo


Abhi Kuch Der Baaki Hai.......


Abhi Kuch Der Baqi Hai
Khizan Ke Beet Janay Mein
Gulon Ke Muskuraney Mein
Khushi Ke Geet Ganay Mein
Baharon Ke Zamanay Mein
Shehar Ke Jugmaganay Mein
Tumhare Lout Aanay Mein

Abhi Kuch Der Baki Hai
Main Tumko Bhool jaunga
Na Tum Ko Yaad Aaunga
Main Tumse Door Reh Ker Bhi
Tumko Jee Kar Dikhaunga
Tumko Maloom Hai Lekin
Yeh Sab Main Ker Na Paoonga
Kay Tumko Bhool Janay Mein
Abhi Kuch Der Baki Hai


Gazal hote Hai....


Rooh jab wajad me aaye to gazal hote hai
ya koi dil ko dukhaaye to gazal hote hai

bheegti raat me jab gham ki fizaaon ka sukoot
dil me ik hashar uthaaye to gazal hote hai

ishq ki aatish-e-khaamosh jab chupay chupkay
aag seenay me lagaaye to gazal hote hai

kabi mehfil me kabi goshaa-e-tanhai me
koi reh reh k rulaaye to gazal hote hai

gham-e-jaana hi se mukoof nahen sher-o-gaal
gam-e-duraan b sunaaye to gazal hote hai

Wo Sharabo Se Ruth Baithi Hain........


Wo Sarabon Say Rooth Bethi Hay

Apne Khwabon Say Rooth Bethi Hay

Ek Deewani Chakori, dekho !

Chaand-Raton Say Rooth Bethi Hay

Jab Say Jaana K Muntazir Hay Wo

Neend Ankhon Say Rooth Bethi Hay

Raftagaan Ki Seher-Gari Shayad

Meri Aahon Say Rooth Bethi Hay

Baarish-E-Rehmat-E-Khuda-E-kul

Aj Shaahon Say Rooth Bethi Hay

Choor Ab Kay Hue Hai Kuch Aese

Aas,waa'don Se Rooth Bethi Hay

Aesa Lagta Hay Ab Meri Manzil

Meri Raahon Se Rooth Bethi Hay 

Teri Tasveer Ko Dil Mai Saza Rakha Hai.....


Teri Tasveer Ko Dil Mai Saja Rakha Hai
Humare Payar Ko Dunia Se Chupa Rakha Hai

Atte Ho Bahoot Yaad Her Pal Is Dil Ko
Ansuo Ko Apne Ander Hi Daba Rakha Hai

Mangi Thi Judai Khud Hi, Magar
Tumko Kaha Khud Se Juda Rakha Hai

Msuhkil Hai Bahoot Tere Dil Se Wapis Anna
Iss Liye Yah Zalim Nakab Laga Rakha Hai

Teri Tasveer Ko Dil Mai Saja Rakha Hai
Humare Payar Ko Dunia Se Chupa Rakha Hai


Kitne Armaano Ko Saza Rakha Hai...


Kitne Armano Ko Dil Me Chupa Rakha Hai
Chirago Ki Hifajat Ko Hawao Ko Bula Rakha Hai

Kaash Woh Aake Kahe Hum Bhi Yaad Karte Hai Tumhe
Ek Issi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai

Nind Bhi Aa Jaye To Jee Bhar Ke Dekh Lu
Kitne Dino Se Apni Palko Ko Khula Rakha Hai

Dard Se Ab To Muhabbat Si Ho Gai Hai
Sadiyo Se Humne Apne Zakhmo Ko Hara Rakha Hai

Mere Jaane Ke Baad Ghut Ghut Ke Mar Na Jaye Dil
Is Liye Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai

aE Aankhe Bahut Satati Hai Sanam...


Yaadon Key Khuwaab Dikhati Hain
Mujhey Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareechey Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Chupkey Sey Kahin Larr Jaati Hain
Phir Khuwabon Sey Bhar Jaati Hain
Jab Tootey Shor Machati Hain
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hain
Kyun Pyaar Pey Pachtati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Zakham Muskuraate Hain....


Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

aE Mere Khamosh Sathi....


Aye Mere Khamosh Sathi
Tu kiyoun itna udas hai
Tujhe to Khuda ne nemat ata ki hai
Logon ko hansane ki
Ye tere ansu
Jinhain log dekhne se ghafil hain
Jo apni khushi mein magan hain
Jo apni hasti mein khain gum hain
Tu kiyoun enko khojta hai
Tu kiyoun enko dhundta hai
K tu to shuru se akaila hai
Aur akhir tak akaila hai
K ye khushi jo do pal ki hai
Tu bhi es mein khush hoja
Aur ji le sari zindagi
Tu kiyoun itna udas hai
Tu kiyoun afsurda hota hai
K ye to hain musafir apni hi zindagi k
K najane ye safar kab khatam ho jaye
Phir baqi reh jayege aik ehsas
K Ehsasa To Hota Hai Kisi K Jane K Baad
Ye waqt ki rait jo hathon se phisal rahi hai
Kahin tham na jaye
Tu Khush hoja
Aur ji le ye Sham
K kahin waqt guzar na jaye
Aye mere Khamosh Sathi
Aao es Sham k andhere mein
Hum donon beth k batain karain
Koi bhi na ho hamare aas paas
Kuch tum shikwa karo
Kuch hum tum ko manayein
Ye mosam to badal jayega
Magar hum na badlenge
K ye waqt to chala jayega
Magar hum yahin rahenge
Aye Mere Khamosh Sathi........!!

Titaliyo Ki Mosam Main.......


Titliyon kay mausam main nochna gulabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai
Daikh ker parindon ko bandhna nishanon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Tum abhi naye ho naa is liye pareshan ho
Aasman ki janib tum is tarha say mut dekho
Aafatain jab aani hoon, tootna sitaron ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Shehr kay baashinday bo kay beej nafrat kay
Intezar kertay hain fasl ho mohabbat ki
Chor ker haqeeqat ko, Dhundna sarabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Ajnabi fizaon main ajnabi musafir say
Apnay her ta'aluq ko dai'mii samajh lena
Aur jab bichar jana mangna duaon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Khamoshi mera shewa! guftugoo hunar un ka
Meri be-gunahi ko log kesay manain gay
Baat baat per jab ké mangna jawabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Wo Mere College Ki Ek Ladki...


Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye
saanse ban ke seene mein mere dheere se utar jaaye

Hostel ke saamne, cycle pe uska, yuin intezaar karna
Kanteen mein jaake, phir ghanto baat, baar baar karna
Kuch aisa aaj ho jaaye, vo samne mere aa jaaye
Yaadon ki baarish mein mere sapne saare bheeg jaaye

Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye...

Har ek baat uski mere kaano mein gunjti hai
Lov band rahte hai aur aankhe sab bolti hai
Sara sama uski yaadon se aise mahak jaaye
Us mein aur uske khayaalo mein sare fark mit jaaye

Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye...