Friday 30 December 2011

Dil Ki Baazi Main...



Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi


Meri Aankho Ke Sanadar Main...


Meri Aankhon K Samandar Main Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pe Charaghon Ki Roshni Bhi Nahin
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Main Ghhutan Kaisi Hai

Barf K Roop Main Dhal Jaaenge Saare Rishte
Mujh Se Pouchho K Mohobbat Ki Agan Kaisi Hai

Main Tere Wasal Ki Khuwahish Ko Naa Marne Dunga
Mosam_E_Hijr K Lehje Main Thakan Kaisi Hai

Regzaaron Main Jo Bunti Rahi Kaanton Ki Rida
Usski Majboor Si Aankhon Main Kiran Kaisi Hai

Mujhe Maasoom Si Larki Pe Taras Aata Hai
Usse Dekho Tau Mohobbat Main Magan Kaisi Hai

Ek Chota Sa Sapna Tha...


ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junoon tha
us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha
us raaz mein ek khushbo thi
jo meri soch ki justju thi
us justju mein ek hasrat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi
us shahrat mein ek ehsaas tha
jo hamesha mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha

Na Saawal Ban Kar Mila Karo...


Na Sawal Ban Kar Mila Karo
Na Jawab Ban Kar Mila Karo
Meri Zindgi Mere khuwaab Hain
Mujhe khuwab Ban Kar Mila Karo

Mujhe Achhe Log Buhut Mile
Main To Unke Qarz Se Bhar Gaya
Jo Ho Sake To Kabhi kabhi
To Kharab Ban Kar Mila Karo

Abhi Sochna Hai To Soch Lo
Abhi Chhodna Hai To Chhod Do
Naye Mousmo Mein Milo Mujhe
To Gulab Ban Kar Mila Karo


Abhi Kuch Der Baaki Hai.......


Abhi Kuch Der Baqi Hai
Khizan Ke Beet Janay Mein
Gulon Ke Muskuraney Mein
Khushi Ke Geet Ganay Mein
Baharon Ke Zamanay Mein
Shehar Ke Jugmaganay Mein
Tumhare Lout Aanay Mein

Abhi Kuch Der Baki Hai
Main Tumko Bhool jaunga
Na Tum Ko Yaad Aaunga
Main Tumse Door Reh Ker Bhi
Tumko Jee Kar Dikhaunga
Tumko Maloom Hai Lekin
Yeh Sab Main Ker Na Paoonga
Kay Tumko Bhool Janay Mein
Abhi Kuch Der Baki Hai


Gazal hote Hai....


Rooh jab wajad me aaye to gazal hote hai
ya koi dil ko dukhaaye to gazal hote hai

bheegti raat me jab gham ki fizaaon ka sukoot
dil me ik hashar uthaaye to gazal hote hai

ishq ki aatish-e-khaamosh jab chupay chupkay
aag seenay me lagaaye to gazal hote hai

kabi mehfil me kabi goshaa-e-tanhai me
koi reh reh k rulaaye to gazal hote hai

gham-e-jaana hi se mukoof nahen sher-o-gaal
gam-e-duraan b sunaaye to gazal hote hai

Wo Sharabo Se Ruth Baithi Hain........


Wo Sarabon Say Rooth Bethi Hay

Apne Khwabon Say Rooth Bethi Hay

Ek Deewani Chakori, dekho !

Chaand-Raton Say Rooth Bethi Hay

Jab Say Jaana K Muntazir Hay Wo

Neend Ankhon Say Rooth Bethi Hay

Raftagaan Ki Seher-Gari Shayad

Meri Aahon Say Rooth Bethi Hay

Baarish-E-Rehmat-E-Khuda-E-kul

Aj Shaahon Say Rooth Bethi Hay

Choor Ab Kay Hue Hai Kuch Aese

Aas,waa'don Se Rooth Bethi Hay

Aesa Lagta Hay Ab Meri Manzil

Meri Raahon Se Rooth Bethi Hay 

Teri Tasveer Ko Dil Mai Saza Rakha Hai.....


Teri Tasveer Ko Dil Mai Saja Rakha Hai
Humare Payar Ko Dunia Se Chupa Rakha Hai

Atte Ho Bahoot Yaad Her Pal Is Dil Ko
Ansuo Ko Apne Ander Hi Daba Rakha Hai

Mangi Thi Judai Khud Hi, Magar
Tumko Kaha Khud Se Juda Rakha Hai

Msuhkil Hai Bahoot Tere Dil Se Wapis Anna
Iss Liye Yah Zalim Nakab Laga Rakha Hai

Teri Tasveer Ko Dil Mai Saja Rakha Hai
Humare Payar Ko Dunia Se Chupa Rakha Hai


Kitne Armaano Ko Saza Rakha Hai...


Kitne Armano Ko Dil Me Chupa Rakha Hai
Chirago Ki Hifajat Ko Hawao Ko Bula Rakha Hai

Kaash Woh Aake Kahe Hum Bhi Yaad Karte Hai Tumhe
Ek Issi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai

Nind Bhi Aa Jaye To Jee Bhar Ke Dekh Lu
Kitne Dino Se Apni Palko Ko Khula Rakha Hai

Dard Se Ab To Muhabbat Si Ho Gai Hai
Sadiyo Se Humne Apne Zakhmo Ko Hara Rakha Hai

Mere Jaane Ke Baad Ghut Ghut Ke Mar Na Jaye Dil
Is Liye Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai

aE Aankhe Bahut Satati Hai Sanam...


Yaadon Key Khuwaab Dikhati Hain
Mujhey Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareechey Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Chupkey Sey Kahin Larr Jaati Hain
Phir Khuwabon Sey Bhar Jaati Hain
Jab Tootey Shor Machati Hain
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hain
Kyun Pyaar Pey Pachtati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Zakham Muskuraate Hain....


Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

aE Mere Khamosh Sathi....


Aye Mere Khamosh Sathi
Tu kiyoun itna udas hai
Tujhe to Khuda ne nemat ata ki hai
Logon ko hansane ki
Ye tere ansu
Jinhain log dekhne se ghafil hain
Jo apni khushi mein magan hain
Jo apni hasti mein khain gum hain
Tu kiyoun enko khojta hai
Tu kiyoun enko dhundta hai
K tu to shuru se akaila hai
Aur akhir tak akaila hai
K ye khushi jo do pal ki hai
Tu bhi es mein khush hoja
Aur ji le sari zindagi
Tu kiyoun itna udas hai
Tu kiyoun afsurda hota hai
K ye to hain musafir apni hi zindagi k
K najane ye safar kab khatam ho jaye
Phir baqi reh jayege aik ehsas
K Ehsasa To Hota Hai Kisi K Jane K Baad
Ye waqt ki rait jo hathon se phisal rahi hai
Kahin tham na jaye
Tu Khush hoja
Aur ji le ye Sham
K kahin waqt guzar na jaye
Aye mere Khamosh Sathi
Aao es Sham k andhere mein
Hum donon beth k batain karain
Koi bhi na ho hamare aas paas
Kuch tum shikwa karo
Kuch hum tum ko manayein
Ye mosam to badal jayega
Magar hum na badlenge
K ye waqt to chala jayega
Magar hum yahin rahenge
Aye Mere Khamosh Sathi........!!

Titaliyo Ki Mosam Main.......


Titliyon kay mausam main nochna gulabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai
Daikh ker parindon ko bandhna nishanon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Tum abhi naye ho naa is liye pareshan ho
Aasman ki janib tum is tarha say mut dekho
Aafatain jab aani hoon, tootna sitaron ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Shehr kay baashinday bo kay beej nafrat kay
Intezar kertay hain fasl ho mohabbat ki
Chor ker haqeeqat ko, Dhundna sarabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Ajnabi fizaon main ajnabi musafir say
Apnay her ta'aluq ko dai'mii samajh lena
Aur jab bichar jana mangna duaon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Khamoshi mera shewa! guftugoo hunar un ka
Meri be-gunahi ko log kesay manain gay
Baat baat per jab ké mangna jawabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Wo Mere College Ki Ek Ladki...


Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye
saanse ban ke seene mein mere dheere se utar jaaye

Hostel ke saamne, cycle pe uska, yuin intezaar karna
Kanteen mein jaake, phir ghanto baat, baar baar karna
Kuch aisa aaj ho jaaye, vo samne mere aa jaaye
Yaadon ki baarish mein mere sapne saare bheeg jaaye

Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye...

Har ek baat uski mere kaano mein gunjti hai
Lov band rahte hai aur aankhe sab bolti hai
Sara sama uski yaadon se aise mahak jaaye
Us mein aur uske khayaalo mein sare fark mit jaaye

Vo ladki college ki meri jab bhi mujhe ko yaad aaye...

Saturday 26 November 2011

Kitne itminaan se woh thukra gayi mujhe..
Aansoo bana ke aankh se tapka gayi mujhe..

Kaisi yeh rehbari thi yeh kaisa fareb tha..
Manzil dikha ke raah se bhatka gayi mujhe..

Khamosh nigahon se kahani suna gayi..
Lafzon ke har phair mein atka gayi mujhe..

Mujh ko bhi bachpan ka sa ek mazaq samaj ke..
Chhoti si ek hansi mein uda gayi mujhe..

Do din mein uss ke dil se mohabat utar gayi..
Aur do hi din mein yaad se mita gayi mujhe..!!

Na Kisi Or Ki Tamanna Hai Na Mai Pariyo Pe Marta Hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hoon...
Kahu Kyo Chand Usko,
Wo Mujhse Door Rahti Hai,
Kahu Kyo Phool Jo Murjhane Pe Majbur Rahti Hai....

Kahu Kyo Hur Jiska Dusari Duniya Me Dera Hai,
Pari Main Kyo Kahu Jiska Paristan Me Basera Hai,
Sharab Kahu Kyo Jo Hosh Sabke Udati Hai,
Bahar Usko Kahu Kyo Jo Khiza Bhi Saath Lati Hai,

Main Koi Aur Naam Usko Du Iski Kya Jarurat Hai..
Wo Ek Ladki Hai Wo Sharmo Haya Ki Ek Murat Hai,
Usiki Yaad Main Main Zindagi Ke Rang Bharta hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu,

Wo Meri Jeet Ka Hasil,
Mataye Naujawani Hai....
Na Wo Khawabon Ki Malika Hai Na Wo Sapno Ki Raani Hai...
Ada Uski Anokhi Hai,Chal Uski Nirali Hai...
Wo Ek Gori Si Ladki Hai Jo Bahut Bholi Bhali Hai........

Main Samjha Bhi Nahi Sakta Ke Kitna Pyar Karta Hu,
Main Bata Bhi Nahin Sakta Ke Uspe Kitna Marta Hu,
Agar Ek Baar Wo Ruthi To Main Pahro Manata Hu,
Kabhi Usko Hasata Hu Kabhi Usko Satata Hu....

Zarurat Se Zyada Hi Main Uske Naaz Uthata Hu
Aur Main Sabke Samne Usko Sar Aankhon Par Baithata Hu,
Na Aaraish Aasand Usko Na Fashion Ki Dil Jyada,
Mijaz Uska Haya Parwar Libas Uska Bahut Sada,

Wo Apni Sadgi Ko Husn Ki Meraj Kahti Hai,
Payam Apni Haya Ko Apne Sar Sa Taaj Kahti Hai,
Na Wo Had Se Guzarti Hai Na Main Had Se Guzarta Hu,
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu....



_____________SameerSaawan______________

Wednesday 16 November 2011

Ek Talash.....


Tapti surmai shaam thi, us shaam ka har ek pal pyaara sa tha, dhoop thi na chaon thi, har ek pal ka nazara aam tha…….

Raeth si behti zindgi mujhse bi kuch kehti rahi, a gale lag ja tu, yeh aankhe aansuo se behti rahi……..

To na jane kis mod pe aankhe meri rukh si gai, kho gaya bachpan mera, dundti yaadein bas reh gai………..

Yu chupa le mujh ko to tu jaise chand ne chupai thi chandani, tapti aankhe dund rhi us pyaase manjar ko dekhne……………..

Surmai si lag rhi hai hotho ki khushi ab mujhe, dund ne nikli vo pyaasa bachpan jis ki talaash kar rahi………..

Kho gai hoon is kadar bhul ke javani meri, hoth kehte hai magar aankhe sunti nhi……..

Bhool gai hoon bachpan mera……. Ab dund ne ki talaash kar rahi………

Ek Akela Parinda........

Dil mein kahi shor basa hua tha...
Aadh boone rishto mein fasa hua tha...
Tej lo mein jal raha tha...
Tukado mein mujhe cheer raha tha....
Bahad agosh mein juka hua tha...
Chethado ki dhun mein beh raha tha...
Kyo is pal se saata hua tha...
Yeh bi kamal ke phool ki taraha tha...
Khichad mein panap raha tha...
Ek pagal maan mein baahtak raha tha...
Jise na soch kar bi soch raha tha...

Meri Zindagi Ka Sach......

Meri zindagi ka sach aaj batata hu mai…….

Mere dil ka dard aaj sunata hu mai…….

Laakho logo ka tha aana jana………

Kis kis rishte ka sach batau mai…….

Laad pyaar se baada hua par…….

Zindagi ke har raag ko jeete huye…..

Jeeta hai yeh ladka dusro ke liye……

Kabi ki nahi apni khushi ki parva maine……

Rota hu magar par kisi ne mere aansu dekh nahi……..

Jisne dekha to bas mere chehre ki khushi…….

Laaga sabko jaise kabhi roya tak nahi……

Sabko lagta hu mai pyaara…..

Sabse jaldi ghul mil jaata…..

Mamta bhari hai mere har ek roop me……

Jaise koi pavitra aatma h samayi……

Kuch logo ne majak banaya…….

Aur kuch sneh dikhaya…..

Jaan na saka koi mere maan ki baat…….

Sab mai dunde saacha mitra…..

Par har jaga dhokha hi khaya……..

Dur kar deta hu sabko apne se jisne bi mujhko dukh pahuchaya……

Do sabd pyaar se bole jisse usne uska galat aarth lagaya…..

Taalash krta hu sabme…..

koi saach mitra mil jaye, sare dukh bhul kar…..

Ek saachi khushi mil jaye…….

Par kaisi kismet hai meri aansu khud piye………

Aur sabko khushi de jaye…….

Koi nhi jisne samjha mujhe…….

Agar samjha to bhi na samajh paye….

Bachpan kho kar baadi ho gaya……

Fir bhi bacho jaisa hi paaya…….

Log Baat Karte Hai.............


phr usi kahani ki log baat krty hain
teri meherbani ki log baat krty hain

teri bewafai k beshumar kison me
meri zindagani ki log baat krty hain

titliyon k jhurmat me
wo b ek titli thi
jis gai javani ki log baat krty hain

daagh b nahi baaki
ab to mere zakhmon k
kon si nishani ki log baat krty hain

ranjishon k kisoon ko
main na laya honton pr
teri bad'gumani ki log baat krty hain

munjamid haiin ankhon me
aks tere sadiyon se
soch ki rawani ki log baat krty hain

hum to baat krty hain
husn k taghaful ki
zeest ki garani ki
log baat krty hain

Tuesday 15 November 2011

Bewafa Hai Hum.....


tujh se mil kr b kuch kafa hain hum
be'murawat nahi to or kya hain hum

hum gham-e-karwan me behte thy
log samjhe k shikasta'pa hain hum

is trah se humain raqeeb mily
jese muddat k aashna hain hum

rakh hain hum agr ye aag bujhy
juz dard-o-gham k or kya hain hum

Khud KO sunty hain is trah jese
Waqt ki aakhari sadaa hain hum

Q Zamany KO ilzam dain FARAZ
WO nahi hain to be'wafa hain hum...

Takdir Ki Saazish Bhi Hai Esme......


Tanha Ho To Meri Apni Koshish B Hy Is Me
Or Kuch Meri Taqdir Ki Sazish B Hy Is Me

ooper Se Faqt Rakh Ka Ek Dhair Sahi Dil
Neechy Kahin Thori Abi Atish B Hy Is Me

Ye Rooh Ka Sanata Naih Itna B Khamosh
Ek Shor Sa Krti Hoi Khwaish B Hy Is Me

Ye Zindagi Ek Pyas Ka Sehra He Nahi Hy
Hr Lamha Tere Dard Ki Barish B Hy Is Me

Jamid Nahi Itna B Laho Meri Ragon Me
Baki Abi Mohoom C Gardish B Hy Is Me

Meri Zindagi Main Kami Rahi...............

Main tumhary aks ki arzo me
bus aaina hi bani rahi
Kabi tum na samny aa sky
kabi mujh pe gard pari rahi

Wo ajeeb shaam thi
aaj tak
mere dil me us ka malal hy
Meri trah jo teri muntazir
tere rasty me khari rahi

Kabi waqf-e-hijr me ho gai
kabi khwab-e-wasl me kho gai
Main faqeer-e-ishq bani rahi
main aseer-e-yaad hoi rahi

Bari khamoshi se sirak k phr
mere dil k gird lipat gai
Wo rida-e-abr-e-sufaid jo
sar-e-kohsar tani rahi

Hoi us se jab meri baat b
thi shareek-e-dard wo zaat b
To na jany kon si cheez ki
meri zindgi me kami rahi

Jalti Huyi Aankhe.............


Hain Ghar Ki Muhafiz Meri
Dehki Hoi Ankhain
Main Taaq Me Rakh Aya Hon
Jalti Hoi Ankhain

Ek Pal B Ksi Moor Pe Rukny Nahi Deti
Kaanton Ki Trah Jism Me Chubhti Hoi Ankhain

Rasty Me Kadam Phoonk K
Rakhna Mere Pyaro
Hain Chaaron Traf Shehr Me Bikhri Hui Ankhain

Yon Us K Bichar Jany Pe Anso Na Bahao
Manzar Ko Taras Jaain gi Bhigi Hoi Ankhain

Qatil K Siwa Koi Samajh Hi Nahi Skta
Kya Dekhti Hain Tasht Me Rakhi Hoi Ankhain

Kya Janiye Kis Khwab Ki Taabir Me Ghum Hy
Zulfon Ki Ghani Chaanu Me Uljhi Hoi Ankhain

Kya Umeed Thi Jindagi Se Mujhe.....


kya saro'kaar ab ksi se mujhe
vasta tha
to tha tujhi se mujhe

behisi ka b ab nahi ehsas
kya hoa teri beruKhi se mujhe

mout ki arzo b kr dekho
kya umeede thi zindagi se mujhe

phr ksi pr na aitbar aye
yon utaro na apne ji se mujhe

tera Gham b na ho to kya jeena
kuch tasali hy dard hi se mujhe

kr gye kis qadar tabah
dushman
andaz-e-dosti se mujhe

Tujhe Kitna Mera Khayal Tha.............

mujhe Aisa Dard Ataa Kiya
Jo Na Hijr Tha
Na Visaal Tha
mere Mosamon K Mizaaj'daan
Tujhe Kitna mera Khyal Tha

Khon-E-Dil Se Likha To Tha
Tere Saal-E-Hijr Ka Saniha
Jo Bohat Adhora Sa Reh Gya
Wo Na Jany Kon Sa Saal Tha

Ksi or Chehre Ko Dekh Kr
Teri Shakl Zehen Me Aa Gai
Tera Naam Ly K Mila Usy
mere Haafizy Ka Ye Haal Tha

Kabi Qurbaton K Diyaar Me
Kabi Chahton K Ghubaar Me
Wahan Umr main Ne Guzaar Di
Jahan Saans Lena Muhaal Tha

Ek Udaasi Hai................


Silsily Taiz Hain Hawaon K
Cheekhti Raat
Aaj Bhaari Hy
Karwatain
Raat or Be'chaini
Ek Udasi Hy
Beqarari Hy

Mukhtasir Din
Taveel Ratain Hain
San'snaati Hawaon Ka Hy Shoor
Garm Kamron Ki Hain Panah Gaahain
Moosla Dhaar Barishon Ka Zoor

Reengty Khamoshi Se Andhere
Surmai Rut Dhuwan Dhuwan Hy Fiza
Tor Jati Hy Daaliyon K Badan
Cheekhti
Tez-O-Tund Sard Hawa

Nachti Hein Fiza Me Yon Boondain
Jese Jhankar Teri Payal Ki
Hont Khamosh Hain Badan Bojhal
Jese Umeed Koi Ghayal Si

Larzan Larzan Ye Zerd Se Paty
Nangy Peron Pe Phar'pharaty Hain
Sard Jhonky
Udaas Shamon K
Dhool Yadon Ki Chor Jaty Hain

Silsila Imtihaan Ka Chalta Rahta Hai..........


Tere Aany ki phr raah takta raha
Saamny aainy k main betha raha

Wo humain hum unhain aazmaty rahy
Silsila imtehanon ka chalta raha

Tham gye hum kabi
or kabhi chal pary
Zindagi ka safar yonhi kat'ta raha

Meri ankhon se anso jo behne lgy
Dard se dil ksi ka tarapta raha

Mujh me reh kr wo mujhko dagha de gya
Khoon me zehr dheere se ghulta raha

Wo mujhe dhondta hi raha hr jgah
Us k qadmon taly main bikharta raha

Kal salman ko pehchaan paya na wo
Muddaton ban k uska jo saya raha

Humari Taalash Thi............


Khamoshi-E-Jungle Ko Hamari Talash Thi
Rothy Hue Bulbul Ko Hamari Talsh Thi

Jis Ko Hazar Loriyaan Deen Baad-E-Sehr Ne
Us Un'khili Kompal Ko
Hamari Talash Thi

Pani Ki Tamanna Thi
K Sahil Se Kron Baat
Sargoshi-E-Sahil Ko
Hamari Talash Thi

Hum Jis Ko Dhond'ty Rahy Sehra Me Ja'Baja
Us Pyar Ki Manzil Ko
Hamari Talash Thi

Bikhri Hui Thi Zulf Ksi or Lams Se
Behte Hue Kajal Ko
Hamari Talash Thi

Wo Jis ki Arzo Me Dhanak Dar-Ba'dar Phiri
Us Reshmi Anchal Ko
Hamari Talash Thi

Wo Janta Na Tha
Gham-E-Doraan Se Nimatna
Us Tarz-E-Taghaful Ko
Hamari Talash Thi

Kal Us Ne Barasna Tha
Kisi Dasht-E-Veeran Pr
Pani Bhary Badal Ko
Hamari Talash Thi

Teri Har Ik Adaa Se Bana Husn-E-Takhay'yul
Jis Husn-E-Takhay'yul Ko Hamari Talash Thi

Wo Mere Dil Mai Hai Lahoo Ki Tarah.....


Gulshan-E-Jan Me Rang-O-Boo Ki Trah
Wo Mere Dil Me Hy Lahoo Ki Trah

Toot'ta Ho Ga Wo B Andar Se
Meri Be'rabt Guftgo Ki Trah

Dil Main Ik Hook Si B Uth'ti Hy
Jun Ki Tapti Hui lu Ki Trah

Wo Meri Rooh Me Samaya Hy
Ragon Me Doorty Lahoo Ki trah

Raat Bhar Rooti Rahi Shama B
Meri Be'naam Arzo Ki Trah

Rakhta Hy Dast-E-Maseehai B
Zakhm Jo Deta Hy Adoo Ki Trah

Zindgi Sehm Kr Guzari Hy
Ksi Muflis Ki Aabro Ki Trah

Ye Wafa Nahi Hoti Sanam........


Roothna khafa rehna
ye wafa nahi hoti
chahton me logon se
kya khata nahi hoti

sb ko ek jesa Q
wo samjhny lagti hy
Q k sari dunia to
bewafa nahi hoti

hr kisi se yari
hr kisi se waady
pyar krny walon me
ye adaa nahi hoti

be'naqaab chehre b
ek hijaab rakhty hain
srf saat pardon me
to haya nahi hoti

sb kuch kho diya
us k pyar me hum ne
kya ye b chahat ki
inteha nahi hoti

Chalo Ab Lout Aawo Tum.......


suno tum ne kaha tha na
mujhe jazba-e-muhabbat se kabi jo tum pukaro gi
main uss din loot aaon ga
to dekho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzir ankhain
mere dil ki
ye dharkan or sansain
bs tumhara naam leti hain
wohi ik wird krti hain
meri ankho k sahil pr
teri khwahish ki mojon ne
bari halchal mchai hy
teri tasveer
sookhy phool
or tohfy
teri chahat ki khushbu me
abi tak saans lete hain
wo sb rasty
k jin pr tum humaray sath chalty thy
wo sb rasty
jahan teri hansi k phol khilty thy
jahan peroon ki shakhon pr
hum apna naam likhty thy
udasi se bhary manzar
tumhary lout kr aany ki
umeedain dilaty hain
suno kuch b nahi badla
tumhary paaun ki awaz sun'ny ki
mere kamry ki be'tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko
yon adhora to nahi choro
mujhe mat azmao tum
chalo ab lot aao tum

Wafa Ki Jung.....


Lahoo Se Dil K Kaghaz Pe
Koi Tehreer Hoti Hy
To Ehl-E-Dil Samajhte Hain
Yehi Takdeer Hoti Hy

Tujhe Khwabon Me Aksr Log
Mujh se Cheen Lete Hain
Suna Hy Sary Khwabon Ki
Ualt Tabeer Hoti Hy

Yehi Chahat Ksi Ko
Taaj Ki Sorat Nazar Aye
Yehi Chahat Ksi K
Paon Ki Zanjeer Hoti Hy

Wafa Ki Jang Talwaron Se
Jeeti Ja Nahi Sakti
K Sachai Or Muhabbat Se Hi
Wafa Ki Jeet Hoti Hy

Sono Ghazlain Be'Sabab Likhi Nahi Jati
K Shayer K Tassavur Me
Koi Tasveer Hoti Hy

Zabt-e-Intezar To Do........


Kabi Tum Apni Muhabbat Ka Aitbar To Do
Main Chahon Toot K
Tum Ye Ikhtiyar To Do

Guzarti Hi Nahi Mujhse
Yeh Zindagi Tanha
Sahara Pyar Ka De K
Usy Guzar To Do

Main Sochta Hon
Tumhare Baghair Kya Hoga
Dil-o-Dimagh Pr ek Bojh Hy
Utar To Do

Mere Khyal Ki Rahon Ko Keh'kashan Krdo
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar To Do

Umeed-e-Visal
Gham-e-Hijr Ka Madawa Hy
Main Intezar Kron
Zabt-e-Intezar To Do...

Koi HumSafar Acha Laga.....


Guftgo Achi Lagi
Zook-E-Nazar Acha Lga
Mudaton K Bad
Koi Hamsafar Acha Lga

Zindgi Ki Be'sar-O-samaniyon K Bawajood
Aaj Tu Aya To Mujh Ko
Apna Ghar Acha Lga

Manzilon Ki Baat Choro
Kis Ne Paain Manzilain
Ek Safar Acha Lga
Ek Humsafar Acha Lga

Gujarate Lamho Mujhe Batao........

Guzarty Lamho Mujhe Batao
K Zindagi Ka Asool Kya Hy

Agr Tamam Hathon Me Aainy Hain
To Q Kisi se Chupa Hua Hy

Agr Sada Ka Wajood Kanon Se Munsalik Hy
To Kon Khushbu Me Bolta Hy

Agr Samundar Ki Had Hy Sahil
To Q Ankhon Me Phelta Hy

Agr Tamam Chizain Yehi Hy
To Q Chizon Se Mavra Hy

Kisy Khabar Bdalti Rut Ne
Purany Patton Se Kya Kaha Hy

Ye Q Baadal Se Ja K Pochy
K Itne Mosam Kahan Raha Hy

Guzarty Lamho Mujhe Batao
K Zindagi Ka Asool Kya Hy

Bahana Na Bana.....

Apni Nazron Se Jo Gir Jaye
Wo Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamha-e-Fursat Ka
Khilona Na Bana

Saink'roon Rasty Hain
Ajnabi Ho Jany K
Tark Krna Hy
Ta'luq Ka Bahana Na Bana

Jhot Ehsas Ki Qandeel Ko Bhuja Deta Hy
Mujhe Insan Samajh K
Khud Ko Farishta Na Bana

Apni Yadain To Mere Dil Me Basi Rehne Dy
Is Mehekty Hoe Gulzar Ko
Sehra Na Bana

Thak Gai Hain Mere Ehsas Ki Ankhain
Naqsh-e-Deewar Pe Ab Koi Afsana Na Bana

Tumne Baarish Ko Barsate Dekha Hai..............


Tum Ne Baarish Ko
Mehez Barasty Dekha Hy
Main Ne Baarishon Ko
Kuch Kehty
Sunty Dekha Hy

Tum Dekhte Ho Barishon
Ki Jal Thal Hr Saal
Main Ne Barsat Ko Bar'ha
Palkon Pe Machalty Dekha Hy

Kese Maangon Phr Barasta
Saawan Apne RAB Se ??
k In Ankhon Ne Bastiyon Ko
Sawan Me Ujarty Dekha Hy

Seekh Gye Hum Barsihon Ko
Apne Andar Utarny Ka Fun
or Phr Sab Ne Humain
Har Dam Hansty Dekha Hy

Kai Dino Se Udaash Rahte Hai.......


Na jany kitne ghamon k jugnoun ko
chupaati phrti hy muthiyon me
kai dino se udaas rehti hy
ek larki saheliyon me

kabi to yon ho muhabbaton ki
mithaas lehjon me ghool dekhain
guzar hi jati hy umr saari
udaas baaton ki talkhiyon me

hamari khwhishon k raston me
mehek rahi hy wafa ki khushbo
muhabbaton ne bdal diye hain
tamam manzar udaasiyon k

hamain khabar hy hawa mukhaalif
roshni k payam'bar ki
chiragh phr b jalaye hoe hain
hum muhabbat ki aandhiyon me

kabi kabi to muhabbaton k
yakeen lehje me guftago ho
kahin to mera b naam aye
teri wafa ki kahaniyon me

To Kya Karain......


Kaam Aa Ski Na Apni Wafain
To Kya Krain
Ek Bewafa Ko Bhol Na Jaain
To Kya Krain

Mujhko Ye Aitaraf Duaon Me Hy Asar
Jaain Na Arsh Pr Jo Duain
To Kya Krain

Ek Din Ki Baat Ho
To Usy Bhol Jaain Hum
Nazil Hon Roz Dil Pe Balaain
To Kya Krain

Shab Bhar To Unki Yaad Me
Taary Gina Kye
Taary Se Din Ko B Nazar Aain
To Kya Krain

Un Beety Hoe Lamhon Ki Yaad Me
Roya Kye Bohat
Ab Muskura K Bhool Na Jaain
To Kya Krain

Ab Jee Me Hy K Unko Bhula Kr Hi Dekh Lain
Wo Baar Baar Yaad Jo Aain
To Kya Krain

Tark-E-Wafa B Jurm-E-Mohabbat Sahi Sanam
Milne Lagin Wafa Ki Sazaain
To Kya Krain...
Tanha Kahin Milo
Bayaan Arzo Krain
Hum Itni Bheer Me Kya Guftagoo Krain

Tujh Tak Rasai K Lye
Ik Umr Chahiye
Sb Kuch Khwab-O-Khyal Hy
Kia Justajoo Krain

Hum Aisy Pak'baaz Kahan Hain K Rooz-E-Hashr
Daaman Nichor Dain
To Farishty Wuzoo Krain

Qasid Ko Darmyan Se Hataya Hy Is Lye
Jo Baat Hum Krain
Wo Tere Rubaroo Krain

Monday 14 November 2011


Chalo Tum Choor Do Mujh Ko
Main Wapis Lout Jata Hon
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nya Saathi Mubarak Ho
Mgr Phr Ae Mere Humdum
Mujhy]e Itna To Batla Do
K Wapis Kis Traf Jaon
Kahan Se Saath Laye Thy
Mujhe Itna To Samjha Do
Agr Aisa Nahi Mumkin
To Mujh Ko Is Trha Toro
K Main Yaksar Bikhar Jaon
Bhatakny Se To Behtar Hy
Tumhare Paas Marr Jaon

Chu Kar Nishaan Guzre.....

Chaman Ka Haal To Ye Hy
K Khaak Urti Hy
Kidhar Se Ho K Baharon K Karwan Guzry

Diyar-e-Yaar ka Sara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Nya Dy K Imtehan Guzry

Saba B Aai To Pholon K Munh Jhulas K Gai
Yahan Se Abr B Barsa K Bijliyan Guzry

Jo Chup Rahain To Malamat Kry Zameer Humain
Khari Khari Jo Kahain
Aap Ko Giraan Guzry

Guzarny Ko To Museebat K Din Guzar Hi Gye
Bary Hi Gehre Mgr Choor Kr Nishaan Guzry

Sahi Gain Na Taghaful Ki Chnd Nazrain B
Hain Sharam'sar K Is Dil Me Kya Gumaan Guzry

Kabi To War Raqeeboon K Dy Gye Hain Maza
Kabi To Pyar Azizoon K B Giraan Guzry

Ae Dil Sambhal
K Ksi Ko Hisab Dena Hy
K Zindagani K Lamhy Kahan Kahan Guzry
Us Ne Kaha K Ishq Ka Nasha Utar Gya
Main Ne Kaha Husn B Tum Se Mukar Gya

Us Ne Kaha K Tujh Ko Dilani Hain Chooriyan
Main Ne Kaha K Ab Wo Zamana Guzar Gya

Us Ne Kaha K Kya Hoi Kajal Ki Dhaar Si
Main Ne Kaha K Aankh Se Darya Guzar Gya

Us Ne Kaha K Ye Teri Chiryoon Se Dosti
Main Ne Kaha K Dil Mera Dunia Se Bhar Gya

Us Ne Kaha K Kya Mila Sab Se Bigaar K
Main Ne Kaha K Waqt To Acha Guzar Gya

Us Ne Kaha K Khwab Me Aany Ka Waqt Do
Main Ne Kaha K Neend Ka Mosam Guzar Gya

Us Ne Kaha K Wo Tere Soraj Ka Kya Bana
Main Ne Kaha K Wo Mere Dil Me Utar Gya

Us Ne Kaha K Wo Nahi Dy ga Tumhara Sath
Main Ne Kaha Ke Wo Chalo Wada To Kr Gya

Akhir Ko Tang Aa k Kahi Us Ne Itni Baat
Wo Tum Kahan Gai Wo Zamana Kidhar Gya

Bara Kathin Hy Raasta
Jo Aa Sko
To Sath Do
Ye Zindagi Bhar Ka Sath Hy
Nibha Sko
To Sath Do

Jo Tum Kaho Dil To Kya
Main jan B Fida Kron
Jo Main Kahoon Bs Ek Nazar
Luta Sko
To Sath Do

Hazar Hain Imtehan
Yahan Hazar Aazmaishain
Hazar Dukh
Hazar Ghum
Utha Sko
To Sath Do

Ye Zindagi Yahan Khushi
Ghumoon K Sath Sath Hy
Rula Sko To Sath Do
Hansa Sko
To Sath Do
barasti boond chun chun kr
koi gajra bana dena
mere hathon me
balon me
kabi baarish saja dena

ksi khushbo ka an'dekha sa aanchal
oorh lon ser se
gulabo
kuch lamhy ko tum
mujhe apni adaa dena

wo mere hath pr honton ko rakhy
pyas k dukh me
isi khatir hatheli pr
koi daria bana dena

bikharti dhop se chehre
main behty aab pr dekhon
zara paani me apne aks ka manzar mila dena

main bhar lon hath ka piyala
sunheri dhop kirno se
mere soraj ko darya k
kinary pr bula dena

usi k hath rakh dena
baharon k sabhi mosam
mujhe titli k per dy kr
baharon ki dua dena

meri ankhain jaga k tum
jo mere khwab parhty ho
suno !
jany se kuch pehle
meri ankhain sula dena


Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai,

Kehte Hai Log Ishq Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai,

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai,

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,

Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,

Usse Taaluq Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...
Dushman ko bhi  seene se lgana nahi bhule
hum apne buzurgon ka zamana nahi bhole

tum ankho ki barsat ko bachaye huye rakhna
kuch log abhi aag lgana nahi bhole

ye baat alag hai
hath kalam ho gaye apne
hum aap ki tasweer banana nahi bhole

ek umar huyi main to hansi bhool chuka hu
tum ab bhi mere dil ko dukhana nahi bhule


Mere Pyase Khwab Jazeeron Par
Umeed Tarapti Rehti Hai,
Ek Aas Machalti Rehti Hai
Ek Saawan Aag Lgata Hai
Bin Barse Guzar Jata Hai
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa
Ye Rahain Sooni Sooni Si
Meri Jagi Jagi Ankho Ko
Q Har Pal Chubhti Rehti Hain
Kisi Hamdam Ki Kisi Raah Ki
Umeed Me Jagti Rehti Hain
Dil Seeny Ke Is Pinjre Me
Q Be'kal Be'kal Rehta Hai
Khamoshi Ke Is Parde Me
Jane Mujh se Kya Kehta Hai
Hum Khush Hain Bohut
Ye Baat Alag Hai,
Har Saans Meri Sisakti Rehti Hai

Monday 24 October 2011

apni yaadein apni baate lekar jana bhul gayi,,
jane wale jaldi mai milkar jana bhul gayi,,
mud-mud kar dekha tha jaate raste mai usne,,
jese use kuch kehna tha jo wo kehna bhul gayi,,
waqt-e-rukhsat poch raha tha mere aansu apne aanchal se..
usko gham tha itna ki wo khud rona bhul gayi.!!