Thursday 16 September 2021

Tum Thi Meri Duniyan

Jis Se Bandhe Thay Dono Wo Gham Nahi Rahe Hain
Tum Tum Nahi Rahi Ho Hum Hum Nahi Rahe Hain,

Chahat Ke Geet Mein Hai Koi Kami Yaqeenan Hain
Akhir Tere Mere Sur Jam Nahi Rahe Hain,

Ro Ro Ke Tere Dukh Sehra Sa Ho Gaya Hoon
Ab Aankh Ke Kinare Bhi Nam Nahin Rahe Hain,

Lamhon Ke Pair Par Hain Kuch Phool Dard-E-Gham Ke
Jeewan Mein Ab Khushi Ke Mausam Nahi Rahe Hain,

Tu Aur Simt Mein Hai Mein Aur Simt Mein Hoon
Ulfat Ke Raaste Ab Baham Nahi Rahe Hain,

Fikr-E-Yaar Ne Tu Jazbon Ko Rond Dala
Aashiq Warna Hum Bhi Kuch Kam Nahi Rahe Hain,

Raahon Mein Ab Kharha Hoon Phelaae Haath Khali
Gham Thay Mera Eysa Aur Gham Nahi Rahe Hainm,

Jaise Tese Maine Puri Likh Di Apni Ghazal 
Par Ab Meri Ghazal Mai Wo Pehla Sa Dard Nahi Hain,

Tum Hi Thi Meri Duniya Tum Hi Meri Mohabbat
Tum Jo Nahi Tu Dono Aalam Nahi Rahe Hain....!!

No comments:

Post a Comment